. YouTube channel kya hai aur kaise banaye ?? - Sab Achha

YouTube channel kya hai aur kaise banaye ??

Hello friend , Aaj ham janenge ki Youtube channel kyu aur kese banaye !!!


Aapne Youtube ka nam to suna hi honga , Uski world rank-2 hai. Aaj kal duniya me har log bahut sare paisa kamana chahate hai, Wo bhi kuch mahino me . To kuchh hi mahino me paisa kamane ka ye dream  Youtube ke jariye pura ho sakta hai. Aapko  youtube se paisa kamane ke liye, pahale apko  youtube me apni channel banakar usse monetize karna hoga.

दोस्तों , अगर आपने ये आर्टिकल नहीं पढ़े तो जरूर पढ़ लीजिये। 


बहुत सारे  pdf  को join  या split  कैसे करे - how to join or split pdf

Youtube Channel
YouTube Channel  Kaise Banaye ??

Youtube kya hai ?



Youtube ka naam to aap sabne suna hi hoga . Youtube me sirf video hi milenge, jo ki puri duniyake logone upload kiye hai,aur youtubewo video puri duniya ko dikhata hai.aap bhi video upload kar skte hai.



Youtube ka use kuch log video dkhne ke liye karte hai, kuch log knowledge karne ke liye karte hai aur kuch log paisa kamane ke liye karte  hai .  aap youtube ka homepage( www.youtube.com) me dekh skte hai, ki waha par jitney bhi video hai wo sab kisi na kisi insan ne upload kiye hai, aur yaha par aap free me video dekh skte hai. agar aap video ke jariye paise kamana chahte hai, to aapko apni ek youtube channel banana padegi .

youtube channel  kya hai ??

Example dekar samajata hu :-


ham sab jaante hai ki T.V. (television) me aapko bahut sari channel hoti he jese ki colors, sony sab , star plus etc. In sab channel mese aapko koi programme colors  channel par achha lagata hai to aap bar bar dekhana pasand  aaoge colors channel par jab wo programme start hoga. Usse colors ki views(TRP) bathengi (increase) .

Wese hi Youtube me bahut sari channel hoti he jese ki technical guruji, kya kaise etc. In sabhi channel me aapko koi video pasand aayega to aap usse channel me bar bar jana pasand kroge.  To youtube ne “subscribe “ nam ka option hoga . Jese agar  aapne  “kya kaise” channel ko  subscribe kiya, aur jab bhi “kya kaise” channel ne naya video upload liya to aapko e-mail ke jariye ,youtube bata deta hai ki “kya kaise” ne is nam ka video upload kiya hai.


Youtube channel me hame konsi video dale  ?


Youtube channel banana se pahle aapko ye janana hoga ki aap me esa kya hai ya to aap kya janate hai jo youtube me nahi he ya to aane  youtube me jo video he us video ko aap usse jyda achhe tarike se samja skte hai , khud wesa video banakar .

Example dekar samajata hu, Agar   aapko maths ki multiplication ki kai bahut sari trick aati hai aur aapne dekha , youtube ke video me dekha ki ye video me us insane ne jo samajaya par apko lgta hai ap usese bhi badiya tarike se smja sakte    ho to aap  apne video ke jariye  ye trick bata skte hai.

Lekin ek bat aap yad rakhe ki aapke youtube channel ka jo bhi video dale usse hi jude huye video dale . Mere matalab ye hai ki agar aap ne youtube channel me maths ke video hai to aap maths ke releted hi video dale, ese nahi hona chahiye  ki  aapne pahale maths ke video dal diya  usske bad  comedy video dala or uske bad koi or topic par video dal diya, agar esa  karoge to apke channel ko koi Subcriber nahi karega,  to apke video ke view bhi jyada  nahi honge to apko kam paisa  milega.


Isliye apko koi ak hi topic ko choose karke, uske related hi video dalene honge  ise yah hoga ki apke channel par jb bhi koi  ayega VIDEO DEKHNE aur  usko agar apka video pasand aya to vo dusri bar dekhna chahega isliye vo apki channel ko subscribe jaur karega is tarah apki Youtube channel ke subscribe bhi badhenge or jyada views bhi honge.

Top 5 Horror Game for Android Mobile 

Top 6 Google product Android  Application by Rating

Top 10 Screen Recorder Application For Android Mobile
How to write a stylish and colourful font on Social Media Account 

how to delete any page of PDF ( PDF  मे से किसी भी page को delete कैसे करे )


Whatsapp में कब और कितनी देर online  रहता है आपका दोस्त ?

Youtube channel banana bahut hi aasan hai , lekin us par paise kamane ke liye bahut mahenat karni hogi.

Note :- Aap youtube channel computer me banaye. Agar aapke pass computer nahi he to aap mobile me Google chrome web version ka uj(use) kar skte hai.  Kyuki youtube channel sirf aap webpage me bana skte hai.

To chaliye Satrt karte hai .
Youtube Channel
YouTube Channel kese banaye ??

Step 1:-
 Sabse pahle aap Youtube ke main page yani ki  www.youtube.com  search kijiye.

Step 2:- Aagar apne Gmail account se  sign in nahi kiya hai to aap Youtube channel sign in kr lijiye.

(Gmail account se sign in kese kre youtube me :- Aapke youtube channel ke right-hand ke top me “sign in” ka option hoga waha par jakar aap sign kar skte hai.)

Step 3:- ab youtube  me aapko right-side top me niche screen shot dikhaya gaya hai, was ek circle jaisa hoga. aap uspar click kijiye aapko screen shot me dikhaya hai waisa dikhega. Aap waha par chakri (*) par click kijiye.


youtube

Step 4:-  ab aapke samne ek page open hoga usme , waha par last me  aapko  “see all my channels or create a new channel” par click kijiye.

youtube
Step 5 :-  ab niche screen shot dikhaya gaya waise hi aapko naam likhakar , create button par click kijiye.
youtube

Aapka youtube channel  ban gaya hai , ab ham youtube channel ko setting karenge .

Haina kitna simple. To ab aap bhi apni youtube channel banaiye he lekin aapko  paise kamane ke liye  apko apne  video ko monetize krna hoga .

3 comments:

  1. Haina kitna simple. To ab aap bhi apni youtube channel banaiye he lekin aapko paise kamane ke liye apko apne video ko monetize krna hoga .
    driver easy pro crackeado 2023

    ReplyDelete
  2. https://sabachha.blogspot.com/2020/05/hubble-telescope.html

    ReplyDelete
  3. Haina kitna simple. To ab aap bhi apni youtube channel banaiye he lekin aapko paise kamane ke liye apko apne video ko monetize krna hoga .
    avast free antivirus full crack

    ReplyDelete

Powered by Blogger.