. WhatsApp me bina Crop kiye Profile Photo Kaise Add kare - Sab Achha

WhatsApp me bina Crop kiye Profile Photo Kaise Add kare

Aajkal har android mobile me whatsapp na ho, esa ho hi nahi skta kyu ki whats app sms sending k sabse achha aur saral rasta hai .

Kai logo ko ye problem huyi hogi ki jab wo apna profile photo ko whatsapp me add krte hai , to usse crop karna padta hai .  isski wajah se kabhi kabhi hamre photo ka main part rah jata hai. aapko bhi ye problem huyi hogi ki apne apni friends group ki photo  li  aur aapne  aapne friends ko dikhane keliye usse whatsapp ke profile photo me rakhha , lekin photo ko crop krne ki wajah se aapke kuch friends crop ho jayenge . 

Lekin friends , aapko iss problem ka solution aaj  ham batane wale hai , mera matalb ye hai ki aap  apne pure photo ko ( full size image ) ko apne whatsapp ke profile photo  me add kar akte ho . 



WhatsApp-me-bina-Crop-kiye-Profile-Photo-Kaise-Add-kare
WhatsApp me bina Crop kiye Profile Photo Kaise Add kare


Whatsapp me Profile Picture Crop Kiye Bina Full Size Me Kaise add  Kare


Aap play store m search karoge to aapko kai sare application hogi . lekin ham  Aapko    best  application ke bare me batayenge . jiski jaankari me ham batayenge ki usse ham   kaise uj (use ) kare .


Square Droid 


Ye application kisi bhi image ko bina crop keliye uj (use ) karne ke liye hai . iss application ki size 3 MB se bhi kam hai . Square Droid applicaton ka uj (use ) karke aap  background  change kar skte ho , bulr ( main part focus ) kar skte ho , aap photo ka color change karke photo ko attractive bana skte ho . ye application sirf android user keliye hai .


square-droid
square droid


 Download :- Square Droid 


Step 1 :- sabse pahle aap upper di gayi link se application download karke install kar lijiye .


Step 2:- install karne ke baad , aap application ko open kijiye . aapko waha par aapko 3-4 option  dikhai dega  “ pick a photo” ,  “take a photo” , “setting” and “disable ads” .


Step 3:- aap camera ke jariye se apni photo le kar edit karna chahe to kar skte hai  ya to aap “pick  a photo “ pe click kare , Ab jis photo ko whats app me lagana hai usse Galary me se select kijiye .


Step 4: - photo select karne ke baad , aapko kuch Fit Square , Flip Roatate , Streatch , Gradient , Blur ka option hoga , agar aap karna chahe to aap kar skate hai  aur last me Save button par click kijiye .


Step 5:-  ab aapko Quality ka option  hoga , aapko  jo quality rakhni ho usse rakhe. Mere khayal se aap high rakhe , aur last me OK Button par click kijiye .  


Step 6:-  ab aapka photo full size ho chuka hai . usse Gallery me save kar dijiye .


Step 7 :- ab  aap whatsapp open karke profile  photo change option me jaiye . waha par resized photo ko select kijiye .


Step 8:- whatsapp profile par photo lagan eke waqt  crop karne keliye option  milega, usme aap photo ko fully select karke  profile photo set karde .  

    
To friends , aapne dekha ki kis tarah ham apne Whatsapp Profile photo ko full size me set kar skte hai . lekin usme ek probem hai , iske do side me Extra Size Add ho jati hai , lekin aapka profile photo to full size me hai.

हमारे नए आर्टिकल और स्टोरी फेसबुक में नोटिफिकेशन अपने fb  में  पाने ले लिए हमारे फेसबुक पेज को लाइक करे। 



अगर आप ईमेल के जरिये हमारे  आर्टिकल और स्टोरी फेसबुक में नोटिफिकेशन पाने चाहते है तो आपको right side  में टॉप पर subscription box  दिखाई देगा वह पर अपनी  email id डाल कर subscribe  कर लीजिये। 


1 comment:

Powered by Blogger.