. Blog Ko Bing Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare - Sab Achha

Blog Ko Bing Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare

Hello  friends , aap jante hi honge ki  Bing  world ka 2nd  number ka sabse bada search engines hai .  isliye  aapke  blog ya website ka  jo  traffic  hai , wo  Google ke baad Bing se  jyda aane wala hai  , isliye aapko  apne blog  ya website ko Bing Webmaster Tool me submit karna chahiye .

aapne abhi tak apna blog Google aur Yandex webmaster tool me  submit kar liya hoga.to  chaliye jaante hai  , blog ko bing webmaster tool me submit kaise kare .



Bing webmaster tool me blog ko kyu submit krna chahiye ??

Aap soch rahe honge ki hamne duniya ka sabse bada  Search engine me to apna blog submit kar liya hai  , to bing me aapna blog kyu submit kare .  aap jaante hi hai ki sabhi search engines ek dusre ke sath jude huye hai . 

Jab ham apne blog ko bing web master me submit karte hai , to hamara blog bing auir yahoo dono site me show  hota hai. bing webmaster tool me submit karne ke baad koi hamare  blog ko bing ya yahoo me search karega to hamara blog aasani se dikhai dega.

Suppose   pure  duniya me 4,000,000,000   internet user hai . unmese 30 % user bing ke ho to 1,200,000,000  user huye usmese agar 10,000  user bhi aapke blog  me yahoo ke search me se aate hai to fyda aap hi ka hoga  isliye  me aapko bata du ki jitney jyda search engine me apne blog ko submit kroge utna hi achha rahega .

Blog-Ko-Bing-Webmaster-Tool-Me-Submit-Kaise-Kare
Blog Ko Bing Webmaster Tool  Me Submit Kaise Kare

 
Blog ko webmaster tool me submit kaise kare ?

Blog ko Bing webmaster tool me submit karna bahut hi aasan hai  ,  apko sirf apna Microsoft account banana hai , jab aap Microsoft account bana lo niche ke step follow  kijiye .

Step 1:- sabse pahle aap Bing webmaster tool me jaiye . 
    
step 2:- webmaster tool me click karte hi ek naya page khulega .


submit-your-site-to-bing
submit your site to bing

1. Type the URL of your homepage :- yaha par aapko apne blog ka URL ( address ) likhana hai.
2. Type the characters from the picture in the text box  :-  yaha par aapko kuch  capcha code dikhai dega use niche ke box me likhna hoga .  aapko wo code  achhe se na dikhe to aap refresh bhi kar skte hai . 
3. last me submit  par click kar dijiye .


Step 3:-  ab ek Microsoft registration page khulega , agar aapne pahle se hi log in nahi kiya hai to  aap  great  ! sign me up  par jakar sign up krna hoga . uske baad aap direct bing ke webmaster tool me pahunch jayege.

Step 4:- Microsoft account me registration karne ke baad aap ka site submission page khulega .  ab About  a site me aapko niche mutabit likhiye .


add-your-site
bing webmaster 


1. URL :- yaha par fir se aap apne blog ya website ka URL likhana hoga .
2. Add a sitemap :- yaha par apne blog ka sitemap liakhana hoga . sitemap likhana bhahut hi aasan hai . jese ki meri site ka URL :- http://sabachha.blogspot.in/ hai to sitemap banane ke liye aapko sirf blog URL ke piche sitemap.xml likhana hoga .
Aapke blog ka URL :- http://sabachha.blogspot.in/
Apke blog ka sitemap :- http://sabachha.blogspot.in/sitemap.xml
3. When do you receive the most traffic to this site for your local time of the day ? :- yaha par aap all day hi rahane de Aur last me add par click kijiye .

Step 5:- ab aapke samane ek page khulega jisme aapko apne blog ko verify karna hai . usme aapko ek code diya jayega , jise aapko apne blog me add krna hai . aap  tension mat lijiye ham aapko batayenge ki code kaha dal na hi .

Aapko option :- 2  me 1 hi line ka  ek code hoga jiski suruaat  <meta name=...... >  se  hogi  , usse copy kar lijiye . uss code ko aapke blog me add karna hai .

Blogger me Bing Webmaster Meta Code ko kaise add kare?

Step 1:- sabse pahle aap ek new page open kijiye . waha par blogger.com search kar ke blogger ke  dashboard me jaiye . uske baad theme >> edit html par click kijiye.

Step 2:- ab aapke samne ek box khelega usme aapko bahut sare HTML codeing dikhai denge . aapko kabhi bhi click karke  Ctrl + f  key dabaye . to aapke samne ek box dikhaidega waha par aap < head > likh kar enter key dabaye .


edit-html-page
edit html 

Step 3 :- ab jo aapne 1 line ka meta code ko copy kiya tha usse  < head >  tag ke niche dal dijiye. Aap bina dare code paste kar dijiye kyuki ye code sirf aapke blog ko verify karne ke liye hai , usse aapke blog ko kuch  nukassan ( loss)  nahi hoga. Aur last me save theme  par click kijiye .

 To friends, aapne blog me meta code ko daal diya hai .  ab aap fir se bing webmaster tool ke verify page me jaakar  verify  par click kijiye .

Friends, aapka blog bing ke webmaster  tool me add ho chuka hai ,aapke blog ko crawl karne me bing search engine ko  2 – 3 din lag skte hai . uske baad aap aasani se dekh skte hai .
 
Bonus :-  aaj ki tarikh  me Google Duniya ka sabse bada search engine hai .  puure world me  60% se jyda log Google par search karte hai aur baki bache 40% mese 30%  bing   aur 10% yandex  me search kiye jate hai .  aap shayad ye jaante honge ki Google ke pahle  yahoo search engine aaya tha . yahoo 1998 ke pahle bahut jyda User the , lekin  kuch galatiya aur waqt ke sath jyda badalav naa hone ki wajah se aaj wo 30 % par hai .  note :- ye 2016 ke percentage hai.

Tofriend aap jaan chuke hai ki blog ko bing webmaster tool me submit kaise kare . to aap  apane friends ke sath ye post jarur  share kare aur agar koi problem aaye to comment karke jarur bataye . 

हमारे नए आर्टिकल और स्टोरी फेसबुक में नोटिफिकेशन अपने fb  में  पाने ले लिए हमारे फेसबुक पेज को लाइक करे। 


अगर आप ईमेल के जरिये हमारे  आर्टिकल और स्टोरी फेसबुक में नोटिफिकेशन पाने चाहते है तो आपको right side  में टॉप पर subscription box  दिखाई देगा वह पर अपनी  email id डाल कर subscribe  कर लीजिये। 

12 comments:

  1. Bahut acha laga aapka batane ka tarika maine successfully apna blog Bing par v verify karwa liya.

    ReplyDelete
    Replies
    1. https://hintadvice.com/blog-sitemap-ko-google-search-console-submit-kaise-kare/

      Delete
  2. thanx, Genial keep .. & visit to my webpage

    ReplyDelete
  3. Thank you bro, maine website ko submit kar diya, i hope bing se accha khasa traffic mile.

    ReplyDelete
  4. Mjhe aik baat puchni ha maine apne blog ko Bing webmaster tool me submit kardia but mere blog ki post bing search me show nhi hori aisa Q or iska kya hal hai. My Blog ==> helpintrick

    ReplyDelete

Powered by Blogger.