. Blog ke liye Google Analytics Account kaise Banye - Sab Achha

Blog ke liye Google Analytics Account kaise Banye

Agar aapka blog ya website hai , to aapko apni  site ke bare me puri jaankari honi chahiye , jo aap Google analytics se pata kar skte hai , kyu ki iski madad se aap apne blog me  kinta improvement hua ye pata kar skte hai . Google Analytics Google ki free services hai. 

Google Analytics kya hai ?
Ye Google ki free services hai. iski madad se ham  apne blog par aane wale log ki janakari  pata kar skte  hai  kyu ki Google Analytics aapki site par aane wale visitor ko track karta hai .  iski madad se hamre site har kitne visitor online hai , konsi country ke hai , direct link se aaye hai ya google me search karke aaye   hai .... aur bahut kuch pata kar skte hai .

Google Analytics Me kya kya dekh ( pata kar ) skte hai    ?

Google analytics se ham  bhahut kuch jaan skte hai , lekin me aapko wo bataunga jo aapke liye   jyada jaruri hai .

1. Hamari site par abhi kitne log , hamari post pad  rahe hai . 
2. Jo visitor abhi online hai , vo konsi post pad raha hai .
3. Kisme hamari post pad rahe hai , matalab computer , mobile ya tablet  etc .
4. Visitor ka location jaan skte hai , vo konsi city ka hai.
5. Hamari site par konsi post pad rahe hai , ye bhi pata chal jata hai .
6. Jo site chala raha hai , unko kon konsi bhasa aati hai.
7. Visitor konse  Browser me hamri post pad rahe hai. 
8. Hamare blog par bounce rate kitni hai , ye pata kar skte hai.
9. Hamari post log kitni der tak  pad rahe hai.
10. Total kitne log aaye aaye hai .
11. Site par kitne purane aur kitne naye visitor aaye hai .
12. Hamari site ka Konsa page kitni baar pada ja chuka hai .
13. Konse desh se kitne log hamari site par aaye hai .
14. Konsa keyword search karke aaye hai.
15. Kaha se aaye hai , facebook  Twitter se ya kahi aur se. 
   
Aur bhi bahut kuch aap  jaan skte ho , to chaliye  ab jaante hai ki Account kaise banaye .


Blog-ke-liye-Google-Analytics-Account-kaise-Banye
Blog ke liye Google Analytics Account kaise Banye

Google Analytics Par account kaise banaye ?


Step 1 :- sabse pahle aap  www.blogger.com par jaiye .

Step 2 :- ab aap new page me Google Analytics Ki site par jaiye. 

Step 3:- aapke samne ek new page open hoga , usme aap sign up  par click kijiye . jo aapke page ke  left-hand ke  top  par hoga.

Note :-  aapne jis email id se blog banaya hai , uss email id se log in kijiye .

Step 4:-  sign par click karte hi , aapko ek naya page open hoga , usme aapko apne blog ki janakari likhani hai ,  jo ham aapko step by step  batate hai .

Account name :- agar aapne ek se jyada blog banaya hai , to aap apne kiis blog ke liye Google Analytics account bana rahe hai , wo likhiye .
Website name :- yaha par aap apne blog ya website ka  naam likhe .
Website URL :- apne blog ka URL likhe , matalab aapke site ka address likhe. 
Industry category :-apne site ka topic select kare .
Reporting Time Zone :-  aap kis desh ke hai , wo select kare .
Data Sharing Setting :- aap sabhi par tick kar dijiye . agar pahle se hi tick hai to rahne de aur Last me aap Get Tracking ID  par click kijiye .

Step 4:-  ab aapke samne ek naya  page khulega ,  Google Analytics Terms Of Service Agreement  me aap country me  india select kijiye . aur baad me  i accept  par click kijiye .

Step 5:- ab aapke samane ek naya page open hoga . usme aap  Tracking info >>  Tracking Code par click kijiye . waha  par aap Tracking ID :-  UA-123456-1  ( ye hame exmpale diya hai )     jesa hoga , usse copy kijiye .

Friends , aapne apna  google analytics account ban chuka hai , sirf aapko ye code apne blog me add  karna hai .

Also read :- blog ko Yandex Webmaster Tool me submit kaise kare.
Also read :- mobile me deleted photo ko recover kaise kare .
Also read:- internet slow hone par Email kaise dekhe.
Also read:- fb me stylish aur colorfull font me kaise likhe. 

Blog me Google Analytics ke Tracking code kaise add kre .

Sabse pahle aap apne blogger .com ke dashboard par jao . uske baad aap apne blog ki setting me  other  par click kijiye . waha par aapko Analytics  Web Property ID  me paste kijiye .
Ab aapka blog me tracking id code add ho chuka hai . aap apne blog ki puri jaankari Google Analytics me mil jayegi .

Google Analytics par apne blog ki jaankari kaise dekhe ?

Analytics par jaankari dekhna bhahut hi aasan hai , bas aapko google me www.google.com/anaytics  site par jao . Ab aap real time  par click kijiye . ab aap overview par click kijiye .ab aapke samane ek nayi window open hogi , jisme aap apne blog ke kitne visitor online hai wo dekh skte hai .


Google Analytics par apne blog ki organic view kaise dekh skte hai.



Sabse pahle aap  www.google.com/anaytics  par jaiye. Waha par aap audience  >>  overview me click kijiye .  ab aapke samane kuch Add segment  par click karte hi aapko bahut sare option dikhai denge , usmese aap organic  par click karke , apply par click   kijiye. Aapko aapke blog ki organic view dekhene ko milenge.     

I hope aapko ye post  achhi lagi hogi . agar koi problem ho to aap comment jarur kijiye . 


No comments:

Powered by Blogger.