. HTML JavaScript Widget Ko Blog Me Kaise Add Kare - Sab Achha

HTML JavaScript Widget Ko Blog Me Kaise Add Kare

Hello friends , Aapne abhi tak blog to baana liya hoga agar nahi banaya hai to aap Blogger Par Free Blog Kaise Banaye – Complete Guide In Hindi post pad skte hai. Blog banane ke bad hamara kam hota hai uski achhi look dena bhi jaruri hai . Lekin kuch different look ke liye ham coding ka istmal karte hai ,  jo ham website par se le skte hai . Lekin ham apne Blog par wo coding kaise aur kaha likhe ye problem hoti hai .

Blogger par Blog banana ka sabse bada fyda ye hai agar kisi ko coding nahi aati tab bhi wo apni website bana skta hai aur achhi look bhi de skta hai . Agar aapko apne blog ya website par kuch add karna hai to aapke pass HTML coding honi chahiye ( jo aapko website par search kar ke mil jayegi ).   To  pahle ham jan le ki 

HTML / JavaScript Widget Kya Hai

Ye blogger ka widget hi hai . Iski madad se ham HTML coding ko hamare blog me add kar skte hai .  Iss widget me ham HTML coding daal kar save kar dete hai . Iski help se ham blog me koi bhi code ko add kar skte hai aur usko blog me kisi bhi  par jagah move kar skte hai .

Also Read :-  Blog Me Template Ko Upload Kaise Kare ?

HTML  / JavaScript Kyu Jaruri Hai ?

Agar aapko apne  Blog me widget jodana hai to  aap code HTML / JavaScript se hi add kar skte ho. Agar aapko blog me Google AdSence add karna hai , to bhi aap ko HTML / JavaScript ko add krna hoga. 

Also read :-  Facebook me stylish aur colorfull font me kaise likhe .


html javascript
blog  me HTML / javascpit kaise add kre 

HTML / JavaScript Ko Blogger Me Kaise Add Kare?

Chaliye ham jante hai ki apne blog me step by step kaise widget ko add kare .  

Sabse pahle aap ke pass koi widget ka code ho usse copy kar lijiye (agar aapke pass naaa ho to website se mil jayega ) , uske baad

Step 1:- Sabse pahle aap apne Blog ke dashboard par jao , uske baad layout me jao .


html coding
html coding likhani hai

aapke blog ka jo layout ho wo dekhiga . aapko waha par  ADD A GADGET ki link kafi sari dikhai degi . 

Aap  koi bhi ADD a GADGET  link ko choose karke click kijiye.

Step 2:-

Click karne ke baad aapke samane ek naya page khulega , bilakul niche ki tarah .
html coding
html / javascript

aapko waha par HTML / JavaScript par click kijiye .

ab aapke samne ek naya page khulega .


html javascript
setting html code ki

1) Agar  aap apne widget ka title dena chahate ho to de  skte ho , lekin agar aap ads ke codes ko daal na hai to aap title nahi likh skte , matalab ki aap title ko khali hi rahne de.

2) Aapke pass jo widget copy kiya tha usse paste kar dijiye .

3) Code ko daalne ke bad save pr click kijjiye.

To dosto aap ab  jan chuke hai ki blogger ke blog me HTML code ko kaise jodte hai ,  to aap apne friends ke sath jarur share kare . lekin agar aapko koi problem aaye to hame comment karke puch skte hai .

ऐसे और  आर्टिकल यहाँ पर है:- 

whatsapp पर आपको किसने block किया है कैसे जाने ??





5 comments:

  1. Nice blog. Thanks for sharing such great information.Inwizards Inc is a javascript Development company offers quality javascript development services best in web industries. Intrested click here - Hire JavaScript developer

    ReplyDelete
  2. Hallo sir ji jawa skrit cod kha se milenge flz muje btaye

    ReplyDelete

Powered by Blogger.