. Sabse Jayda Search Hone Wale Keyword Aur Topic Kaise Pata Kare - Sab Achha

Sabse Jayda Search Hone Wale Keyword Aur Topic Kaise Pata Kare

Hello friends , aaj ham ek aise topic ke baare me batayenge ki jiske jariye aap Google search engines me kya kar raha hai , aaj kal Trend me konsa article chal raha hai , abhi konsi post likhe jo  aasani se viral ho jaye aise ka sare sawal  ko javab ham dene wale hai  

Aapko pata hi hoga ki karib 8 month pahle suru hokar aaj din tak JIO ka Trend cha raha hai. jio par koi bhi article likho to bahut sare view milenge. Kyuki jio kuch na kuch update karte hi rahta hai. abhi jio chal raha hai , lekin ham dusare kisi din ki baat kare to hame samaj nahi aata hai ki , abhi ke time me kya chal raha hai.

Waise internet par  keyword search karne ke kai tool mil  jayenge jo ki free aur paid honge. Jaise ki Keyword Planner Tool ke bare  me aapne suna hi hoga , lekin me aaj aapko Google ki Official Site Google Trend ke bare  jaankari  share karne wala hu.

Also Read:- agar aap janana chahate ho ki apne blog ki organic traffic kitni hai to aap hamari ye post Blog ke liye Google AnalyticsAccount kaise Banye post jarur pad skte hai.

Google Trend ki basic janakari
Google Trend  ek Google ki  website hai , jo Tool ki tarah   hai . Iss website ka main kaam ye hai ki Most Search Keyword ko Find karna hai . Google trend 11 May 2006 me lonch hua tha. Jiska 2017 me 11 saal ho chuke hai, to aap pata laga skte hai ki hamre world ya country me abhi konse topic ka trend chal raha hai.


Also Read :- agar aapko Seo thik se nahi aata to aap hamari ye post Blog post kaise likhe pad skte ho, muje yakin hai aap aasani se SEO wali post likh skoge.

keyword
 Sabse Jayda Search Hone Wale Keyword Aur Topic Kaise Pata Kare

Google Trend Tool kya hai ?

Google Trend Tool Google  ki website hai , jo kisi bhi business me hone wale changes ko graph me dikhata hai . iske alava hame ye bhi batata hai ki abhi ke samay me hamare business ke related konse keyword aur topic jyda search kiye jate hai.


Google trend se kis website ya blog ko fayda hoga ??
Wese dekha jaye to ye sabhi tarah ki website ya blog me  help mitli hai , lekin jydatar Story , Entertainment , Tech , Tips Tricks , Health , Business , Blogging aur sports jaise topic par banane wale blog aur website ko Jyda  madad karti hai. 

Google Trend Tool se kya kya ham  jaan skte hai ?
     *Log konse keyword aur topic jyda search kar rahe hai.
     * Konse desh me konse keyword  aur topic jyda search huye hai.
     * Aajse 5 sal , 30 day .. pahle konse keyword jyda search kiya ja chuke hai.

Aur bhi bahut kuch jaan skte hai . ab aate hai hamare main point yani ki  Google Trend se Keyword aur topic kaise find kare.


Google Trend  se keyword aur topic kaise search kare
Yaha me aapko point-wise bata raha hu , taki aap aasani se samaj jaye .

Step 1 :- sabse phale aap Google Trend tool ko open kijiye . https: // trends . google .com / trends/hottrends    

Step 2:- jaise aapne link par click karoge to aap Google trend ki website par pahunch jaoge. Aap jis bhi topic ko search karna chahte ho usse likhe kar search kijiye. jaise hamne Youtube channel search kiya hai.

Step 3 :- jese hi aap search par click karoge , apko abhi ke samay me jis topic ka trend chal raha hai , wo mil jayega.


Google-trend
Google trends

1.Worldwide :- yaha par aap click karke jaan skte hai ki , konse desh me konse keyword ka trend chal raha hai .
2. Past 5 year :- yaha se aap time  select kar skte ho . aap waha se last hour , last 7 day , last 30 day , last 90 se last 12 month ke keyword ki jaankari ka  trend pata laga skte ho.
3.All categories :- yaha se aap apne website se related categories select kr skte hai .
4.Web search :- yaha se aap images search web search , new search , youtube  search kar skte ho.
5.Interest over time :- yaha se  aap graph dekh skte ho.
6.Interest by region :- yaha se world ke graph se interest dekh skte ho.
7.Search topic :- yaha aap jaan skte ho ki log konse topic ko jyda search kar rahe hai.
8.Search queries :-  yeh search quires keyword hote  hai , jo log search engines par search karte hai . 

Aapko  Google Trend smajne me thoda time lag skta hai , lekin jab aap smaj jaoge to aap aasani se pata chalega ki abhi  konse topic par likhne se jyda visitor milenge . Aapko ham bata de  ki ye website har 1 hour ( ghante ) me update hoti hai, isse aapko aasani se jaan skte ho ki abhi konsa trend chal raha hai. 


Also read :- agar aapke mobile me important photo galti se delete ho gaye hai aur aap usse vapis lana chahate ho to aap hamari ye postMobile Me Deleted Photo Ko Recover Kaise Kare  pad kar vapis la skte ho.  

Conclusion
Ye ek esa tool hai jiske jariye aap aasani se jaan jaoge ki aapko abhi kis type ka content likhana hai. iske jariye aap apne website ya blog ki traffic bhi bada skte ho . agar aapne abhi tak iska uj (use ) nahi kiya hai  to aap ek baar Try jarur kare. 

To friends , aapko ye post Sabse Jayda Search Hone Wale Keyword Aur Topic Kaise Pata Kare  kaisi lagi hame jarur bataye , apne friends ke ye post jarur share kare  aur agar aapko koi problem ho to aap hame jarur comment ke jariye puch skte hai .

हमारे नए आर्टिकल और स्टोरी फेसबुक में नोटिफिकेशन अपने fb  में  पाने ले लिए हमारे फेसबुक पेज को लाइक करे। 


अगर आप ईमेल के जरिये हमारे  आर्टिकल और स्टोरी फेसबुक में नोटिफिकेशन पाने चाहते है तो आपको right side  में टॉप पर subscription box  दिखाई देगा वह पर अपनी  email id डाल कर subscribe  कर लीजिये। 

5 comments:

  1. Sir aapke blog ka template ka name kya hai or ye paid hai ya free hai. Pls link bhi decide dena template ka

    ReplyDelete
  2. bro....ye template free hai aur ye bloggertheme9.com me aap ibeats template search karoge to mil jayega.

    ReplyDelete
  3. Aap ne bahut hi achhi jankari provide ki hai isse new vloggers ko kaafi fayda hoga. Iske alawa aap Viral or Trending Topics ke baare me bhi btaa skte hai

    ReplyDelete
  4. Hello bro aap ne blogest. Come per apna blogger kab banta kaise shrurat ki kaya aap mujhe apene kaishe blogger start ki tip de sakte hai plz requested🙏😊

    ReplyDelete
  5. Mai bhi bana chath hu sab kuch to aache se nahi aata per kuch to aata hai ab pehla post kis topic per likho kaise likho bahut se dadut hai

    ReplyDelete

Powered by Blogger.