. Blog keliye Google AdSence me Apply kaise kare - Sab Achha

Blog keliye Google AdSence me Apply kaise kare

Aaj kal har din me  1000+  blog ban rahe hai . unmese  70 % log paisa kamane ke liye hi blog banate hai aur 30 % log help  karne ya apni shok ( hobby ) ke liye blog banate hai  .  unmese kai log ko Adsence ko lekar confusion me rahate hai ki kaise apply kare Adsence keliye . to aaj  mai aapko bataunge ki  blogger blog keliye Google adsence me apply kaise kare .


Google adsence kya hai ?

Google Adsence ek Advertising Program website hai , jo ki Google ki services hai . aaj kal  approximately  80%  log Google Adsence ka uj (use ) kar rahe hai. isme apply karne keliye aapko ek bhi paisa kharch (pay) karni jarurat nahi hai . sirf aapke pass Blog ya website honi chahiye .

Also Read :- Blog post kaise likhe- full guide in hindi .
Also Read :- computer me folder ka color kaise badle. 
Also Read :- mobile me deleted photo ko kaise vapis laye.

Ktne tairike se ham google adsence me ham apply kar skte hai . 

Google adsence me apply karne ke 2 tarike hai .

1 ) direct Blogger mese Google adsence keliye apply karna.
2) Google adsence ki main website ko open karke apply karna.

Ham aapko 2 wala tarika batayenge kyu ki jab aapka blog ya website Adsence ke liye  approve ho jaye to aap aasani se apni earning ko dekh sko . to chaliye friends , jaante hai kaise apply kare Google Adsence me step –by-step .


blog-keliye-Google-adsence-me-apply-kaise-kare
Google  adsence me apply kaise kare

 Google AdSence me Apply  kare  - step by step.

Step 1:- sabse pahle aap Google me Google adsence search kijiye . aap chahe to iss link https://www.google.com/adsense/start/ se direct uss page par ja skte hai .

Step 2:-  waha par aapko Turn your passion into profite  likha hoga uske niche sign up ka option hoga , uss par click kijiye .

Step 3 :-  ab aapko niche wali  photo  jaisi photo dikhai degi .
google-adsence
email id se log in kijiye

1. Yaha par ek email id hogi , agar aap apki website ya blog iss email id bana hai , to aap yes  par click kijiye  (Agar aapka blog ya website kisi dusri email id se bana hai to aap create or use another account  par click karke, jis email id se blog banaya hai, usse sign in kar lijiye).

2. Yes par click kijiye .

Step 4:-

Google-adsence
select language

 My website :-  yaha par aapko  apni website ka naam apne aap  likha hoga, aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.

content language :-  yaha par aapko apne blog ya website ki language (bhasa)  konsi hai , wo likhana hai .  uske baad  “save and continue” par click kijiye.

Also read :- Google AdSence konsi language ( bhasa) ko support karta hai . 

Step 5:- ab aapke samane ek naya page khulega .  waha par aapko  ek form bharana (fill up  krna ) hoga , jo aapko niche jaisa dikhega.
Google-adsence-apply-form
Google Adsence apply form


1. Yaha par aapko apna desh (country ) select karna hoga.

2. Yaha par aapko Time Zone select karna hoga, agar aap India se ho to Kolkata  select kijiye .

3. Yaha par agar aap individual  or business select kijiye   ( agar aapka business hai to aap business par select kijiye , agar aapka khud iske malik hai to , individual par click kijiye ). 

4. Yaha par uska naam likhiye , jisme aap apne bank account par payment transfer  karna chahte ho.

5. Yaha par aap apne ghar ka address likhana hoga.

6. City :- yaha par aapko apne apni city ka naam likhana hoga.

7. Phone no :- yaha par aap apne mobile number likho.

8. How did you to know adsence ? :-   yaha par kiske liye adsence add lagana chahate hai aap blog ya website likhiye.

9. Adsence Email  preference :- yaha par aap sabhi me yes par select kijiye .

Last me aap submit my application par click kijiye .

Step 6:-  ab aapko apne mobile number ko verify karna hoga . yaha par aapko “Voice call” or “text message” par click kijiye . uske baad “Send verification code” par click kijiye . ab aapke mobile  me ek code aayega usse verify  kar lijiye .

Step 7 :- ab aapke samane “Adsence Terms and condition” hogi , uske niche  ek chota sa box hoga uss par tik karke accept  par click kijiye.

Aapka blog ya website me Google adsence ke liye apply ho chuka hai , aapko 48 hour ke bhitar me aapko google adsence ki team se mail hoga . uske aapka blog ya website approval huya he ya nahi ye bataya jayega .

Also Read :- SEO kya hai – blog  aur website keliye kyu jaruri hai .
Also Read :- internet slow hone par Email kaise dekhe.
Also Read :-whatsapp me bina crop kiye  photo ko kaise add kare.

To friends , aapko ye article kasia laga hame jarur bataye aur  apne friends ke sath ye article jarur share kare . Agar koi problem ho to comment jarur kare.  

हमारे नए आर्टिकल और स्टोरी फेसबुक में नोटिफिकेशन अपने fb  में  पाने ले लिए हमारे फेसबुक पेज को लाइक करे। 


अगर आप ईमेल के जरिये हमारे  आर्टिकल और स्टोरी फेसबुक में नोटिफिकेशन पाने चाहते है तो आपको right side  में टॉप पर subscription box  दिखाई देगा वह पर अपनी  email id डाल कर subscribe  कर लीजिये। 


1 comment:

Powered by Blogger.