Blog me post kaise likhe for beginner full guide
Hello , friends aapne abhi tak blog to bana liya hoga , agar nahi banaya hai to aap hamari ye Blog kaise banaye – Complete Guide in Hindi post read kar skte hai .
Aksar log blog bana lete hai , aur usme achhi post bhi likhate hai , lekin visitor nahi mailte hai . kyuki unko ye nahi pata hota ki post me ham kaise likhe . Aapko me bata du mene 2 sal se blog se juda hu aur mene jo dekha hai , jo samja hai wo aapke sath share kar raha hu.
Also read :- Mobile Me Deleted Photo Ko Recover Kaise Kare (2 software & 2 app)
Also read :- Internet Slow Hone Par Email Kese Dekhe ??
Also read:- top 10 screen recorder app for android mobile
Also read:- Fb Me Friend Request Ko One Click Me Accept Aur Reject Kaise Kare
blog post kaise likhe |
Sabse pahle aap apne blog ki design (look ) achha rakhiye . Aapka template seo friendly aur mobile friendly hona chahiye ( esa template aapko google me search karke mil jayega ) , aur Aap wo template apne blogger ke blog me kaise upload karni hai , wo hamri ye post blogger par template ko upload kaise kare post pad kar jaan skte hai.
1) Apni post ke liye , achha sa title likhe :- Apne blog ka title esa likhe ki , aapke blog me aane wale log ( visitor ) ko aasani se samaj jaye ki post me kya janane wale hai . mera matalab ye hai ki jese ki newspaper ke headiline hoti hai wese hi .
2) Blog title ke character :- Blog ke title ke character 35 – 70 ki beech hi rakhe . Kyu ki iske jariye aapki post google google ke ke search result me jald hi aa jayegi .
Ex- hamne kuch din pahle ye post likhi thi Facebook me stylish aur colorfull font me kaise likhe . is post ke title me 45 character hai , aap chahe to gin ( calculate ) kr skte hai .
3 ) full details of your post content
Aap jis bhi post likhna chahate ho , usski puri janakari internet se le lijiye , mera matalab ye hi agar aapki post koi trick ya education ke related hai to aap internet se jaankari le lijiye .
Ex :- agar aapko ye post likhani hai ki Facebook Account kaise banaye ? ye ek tech post ya social post likh rahe ho to uski puri information aapko youtube aur webpages se mil jayegi .
4. aapke blog ki language
Agar aap apne blog ke jariye paisa kamana chahte hai to Aap , jiss bhasa ( language ) me post likhana chahate hai wo , jan lijiye ki wo adsence ko support karti hai ya nahi . aapke blog ki language Google Adsence ko support karti hai ya nahi ye janane ke liye ..ye rahi post :- Google adsence konsi language ko support karta hai .
5. blog title ke main word
Aap ye dhan me rakhiye ke aapne Blog ke title me main word ka ek hi bar use kare , me example dekar samajata hu jese ki
Ex :- agar aapki post ye hai ki Computer me folder ka color kaise badle . Aap esa nahi likh skte ki computer me folder ka color kaise badle ( computer tricks ) , ya computer me folder ka color kaise badle – computer tricks in hindi . Kyu ki yaha par computer word 2 bar aa raha hai , jo Google ke Search result policy ke khilaf hai .
6. good looking photo
Blog me ek achhi photo jarur dale . Agar aap kisi trick ke bare me bata rahe ho to uske 2-3 photo aur add kijiye taki log ( visitor ) ko aasani se samaj jaye . lekin yaad rakhhe photo copyright nahi honi chahiye , aur ho ske to aap khud ki image banaye .
7. Blog paragraph
Apne blog me jo bhi likhe usme bade paragraph kam rakhiye , aur chote paragraph jayda rakhe . kyu ki iske aapki post bhi kafi achhi dikhegi , aur aapke blog me aapne wale log ( visitor ) ko bhi achha lagta hai . Read more:-
8. Heading Size
Aapke blog ke heading aur subheading ki size badi rakhe , jisi visitor aasani se dekh sake ke ki wo kya jaan ne wale hai . aur apne heading ko sequence me rakhiye , matalab pahala heading bada rakhiye uske baad chota , uske baad aur chota ya to aap sabhi heading ko ek hi size ke rakhiye jese hamari post me hai .
9. Blog post ke word
Apne blog post kam se kam 300-400 word ki likhiye , aur jyada se jyda ho uski kosis kijiye . lekin post Quality wali honi chahiye matalab ki usme apko jaankari bhi jyada likhani hogi .10 . First aur Last Paragraph
Apne post ki first aur last 100 words me post ki title name jarur likhe , mera matalab ye hai ki aap apne blog post ke bare me short me likhhe jese Aap hamre iss post ko dekh skte hai .
11. No Adult Content
apne blog se agar aap paise kamana chahate hai aur wo bhi Google Adsence ke jariye , to apne blog me adult content na dale . Kyu ki Google Adsence policy Adult content khilaf hai .
12. no hacking tricks ya teach
apne blog se agar aap paise kamana chahate hai aur wo bhi Google Adsence ke jariye , to apne blog me hacking tricks ya teach ke bare me post na likhe . kyu ki Google Adsence policy hacking khilaf hai .
13. blog post kese likhe
Aap jab post likhe to ese likhe ki aapke samne aapka friends betha ho aur aap usse aap apni post bata rahe ho . kyu ki esa krne se aapki post ki length bhi badhegi aur aap aasani se likh bhi skoge . Aap ye jaante honge ki kuch logo ka Google Adsence approved ho chuka hai aur wo hacking ki tricks likhate hai , to me aapko bata du ki wo sirf kuch dino keliye hai , agar kisi ne report ki to uska account bhi kuch dino me band ho jayega .
Friends me aapko bata du ki ye post me maine SEO ( serach engines optimation ) ka uj (use ) kiya hai , jo sahayad aapko pata nahi chalega , agar aap hamare senior ( hindi me help , support me india , sahu4you , indihow etc.) ho to aur ye post pad rahe honge to aasani se samaj jayenge .
To friends , ye thi aap blogger ke lie hamari blog post kaise tips agar aap in tips ko follow karoge , to muje yakin hai ki aap bhi achhi post likh skoge .
Aapko ye post achhi lagi to apne friends ke sath jarur share kare . Agar aapko iss topic par koi problem hai ya kuch puchana chahate hai , to comment karke jarur bataye .
Nice
ReplyDeletethanks , chetan bhai
DeleteNice And Very useful info,
ReplyDeleteThis article important and really good the for me is.Keep it up and thanks to the writer.Amazing write-up,Great article. Thanks!
used to really good
your info is quite helpful to forever.Blogging
Sir mere blog Ko check karke bataiye ki is par ads placement Sahi hai kya. Adsense disapproved to nhi hoga na.
ReplyDeleteBlog http://www.hinditecharea.com
Thank you for your advice I am interested your blogin. .. but me motivation ke bare me likhana chahta hun ...kya me likh sakta hun sir...thank you. .mujhe batana kya kya karna padega sir please. ..help me...
ReplyDeletethanks for sharing SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe
ReplyDelete